Deeniyat Primary Course Complete Set | Urdu Transliteration (Ibtida-e-Nisab)
1st Primary – Urdu-Transliteration:
Nooraani Qaaide ki 8 takhtiyaan, 5 soorton ka hifz, 7 duaaein, 2 aamaal ki sunnatein, 5 masnoon kalimaat, 5 Hadeesein tarjame ke saath, 2 kalime tarjame ke saath, Wuzu-wa-Namaaz ka tareeqa, Kalimaat-e-Namaaz, Sana, Tashahhud, 15 Asmaa-e-Husna, wuzu-wa-gusl ke faraaiz, taadaad-e-rakat, Sharaait-e-Namaaz, Islaami Maaloomaat ke muta’alliq 20 sawaalaat-o-jawaabaat, ek bayaan aur ek dua, Seerat se muta’alliq 19 sawaalaat-o-jawaabaat, Paanch shobon par 5 tarbiyati asbaaq, Arabi zabaan mein ginti, khaane peene ki cheezon ke naam, mutafarriqaat, Urdu zabaan huroof shanaasi se teen harfi alfaaz tak.
2nd Primary – Urdu-Transliteration
Nooraani Qaaide ki 13 takhtiyaan, Paara-e-Amma Sura-e-Zilzaal se Sura-e- Naas, 6 soorton ka hifz, 5 duaaein, ek amal ki sunnatein, 5 masnoon kalimaat, 5 Hadeesein tarjame ke saath, 2 kalime tarjame ke saath, Durood Shareef, Dua-e- Maasura, dua baad namaaz, 15 Asmaa-e-Husna, Arkaan-e-Namaaz, farz namaazon mein sunan-o-nawaafil ki ta’adaad, Islaami Maaloomaat ke muta’alliq 29 sawaalaat-wa -jawaabaat, ek bayaan, ek dua, Seerat se muta’alliq 24 sawaalaat-wa-jawaabaat, Paanch shobon par 5 tarbiyati asbaaq, Arabi zabaan mein khaane peene ki cheezon ke naam, mutafarriqaat, Urdu zabaan mein teen huroof ke alfaaz ke jumle se paanch harfi alfaaz ke jumle, likhne ki mashq Alif se Ya tak
3rd Primary – Urdu-Transliteration
Ise padh lene ke baad talaba nooraani qaaida ke saath saath mukammal naazira-e-qur’aan, 22 sooratein, 40 aamaal ki duaayein aur 13 aamaal ki sunnatein, 40 hadeesein, 5 kalime aur islaami aqaaid, mukammal namaaz aur mazeed 6 namaazon ka tareeqa, 99 asma-e-husna, tahaarat aur namaaz wagaira ke zaroori masaail, islaami maaloomaat par 110 sawaalaat ke jawaabaat, 5 bayaanaat aur 5 duaayein, Huzoor ﷺ aur khulafa-e-raashideen ki mukhtasar seerat, akhlaaqi taaleem par qur’aan wa hadees ki 125 baatein, arabi mein ginti, rozmarra istemaal hone waali cheezon ke naam wagaira seekh leinge aur unhein urdu likhna padhna bhi aa jaayega.
4th Primary – Urdu-Transliteration
Naazira-e-Qur’aan paara 2 se paara 11 tak aur 4 soorton ka hifz, 4 duaaein, 2 aamaal ki sunnatein, 10 Hadeesein tarjame ke saath, Allah, Farishte aur Aasmaani Kitaabon par sawaalaat-o-jawaabaat, Namaaz ba Jamaat, Namaaz-e-Juma, 25 Asmaa-e- Husna, Mufsidaat-e-Namaaz, istinje ka bayaan, makrooh auqaat, Islaami Maaloomaat ke muta’alliq 15 sawaalaat-o-jawaabaat, ek bayaan aur ek dua, Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم ki Madni Zindagi, Paanch shobon par 10 tarbiyati asbaaq, Arabi zabaan mein maheene aur jism ke a’aza, Urdu zabaan mein Hazrat Aadam, Nooh aur Ibraaheem علیہم السلام ke haalaat, ek nazm, likhne ki mashq Kaaf se mushaddad huroof tak.
5th Primary – Urdu-Transliteration
Naazira-e-Qur’aan paara 12 se paara 29 tak, Aayatul Kursi hifz, 3 duaaein, 4 aamaal ki sunnatein, 10 Hadeesein tarjame ke saath, Rasool, Yaum-e-Aakhirat, Taqdeer aur Ba’as ba’adal Maut par sawaalaat-o-jawaabaat, beemaar ki namaaz, musaafir ki namaaz, 24 Asmaa-e-Husna, tayammum ka bayaan, Waajibaat-e-Namaaz, Zakaat, Rozah aur Haj ka ta’aaruf, Islaami Maaloomaat se muta’alliq 15 sawaalaat-o- jawaabaat, ek bayaan aur ek dua, Khulafa-e-Rashideen ki seerat, 5 shobon par 10 tarbiyati asbaaq, Arabi zabaan mein rangon aur phalon ke naam, mukhtalif peshe, Urdu zabaan mein Hazrat Ishaaq, Yusuf aur Musa علیہم السلام ke haalaat, ek nazm, asbaaq se muntakhab jumlon ke likhne ki mashq.